Thursday, December 1, 2011

sharab aur muhabbat ki muhabbat

woh muhabbat mai zeher kuch iss tarah pila gyi,
jaise maikhane mai saaki sharab pilata hai,
barbaad to hum dono jagah hote hai,
par lutne ka mazaa bas idhr hi aata hai,

sharab aur muhabbat, kuchh iss tarah barbaad karti hai,
ek apne toote hue, pyalo mai nazar aata hai,
dusra apni tooti muhabbat ke, khayalo mai nazar aata hai,
naa maikhana rota hai, na roti muhabbat,
unka to kaarobar hai, ye to bas chamakta hi jaata hai,

roke khud ko yeh, to roke bhi kaise,
ek ko paani mai maikhana, aur
doosre ko har chehra anjaana nazar aata hai,


3 comments: