Thursday, April 26, 2018

kuchh paraya kuchh apna

Aaj khwaabo se koi bahar bhi aaya, 
bhale praya sa, par koi apna sa aaya, 
kab se deedar mai baithe thhe, 
aaj uss khuda par thoda aitbaar to aaya, 

kitni uljhano mai uljhi thhi zindagi, 
unse baat kar thoda karaar to aaya, 
naa kuchh keh k bhi woh bahot kuchh keh gaye, 
unki khaamoshi mai thoda ehtijaaj to aya, 

:)