Thursday, December 17, 2009

Khuda ne to insaan banaya tha,
yeh hindu muslim to insaan ne banaya,
Koi mandir jaaye, koi masjid jaaye,
par uske kareeb koi naa jaaye,
koi, pathhar mai dhoonde usko,
koi dhoondne kaaba jaye,
naa jhaanke kabhi apne dil mai,
jaha usko, uska khuda nazar aaye,
Maafi maange roz apne gunaaho ki,
agle din phir wahi dohraye,
paap se bhara jeevan hai sabka,
phir bhi koi saadhu, kehlaye, koi maulana kehlaaye,
kar dia ek mulk ko tabaah,
koi qayde aazam , to koi mahatma kehlaye,
muhabbat phir bhi nahi toot sakti,
aise hi nahi jhelum,
mere mulk se tere mulk ko jaye,

Wednesday, April 1, 2009

purana khat

sahma sahma sa, dara sa rehta hu,
unki yaado mai bhara sa rehta hu,
ek pal dekh lu to,sukoon mile,
unki raaho par khada sa rehta hu,

ek pal atka hai kahi iss dil mai,
us pal mai hi basa sa rehta hu,
nadaan-e-zindagi kya haal kare mera,
zindagi se maraa sa rehta hu,

kya kahe ab apna haal unhe,kambakht.
unke jaane ke baad har ghadi hamne,
unke saath hi guzaari hai ,
Logo ne samjha koi dewaana hai,
par yeh, zinda lash hamari hai ,
kal tak jo shakhs raja tha,
aaj tere pyar ka bhikari hai

ek purane khat ko seene se lagaye rakha hai,
Aaj bhi unki khushboo ko usme chhupaye rakha hai,
ek masoom si kalli dikhti hai hasti hui,
jab bhi woh khat mai padta hu,
ankho mai aansoo hote hai mere,
par mai kuchh pal ke liye hasta hu,
sajda karta hu,salaami bharta hu,
use mai khuda se jyada muhabbat karta hu.

Friday, March 27, 2009

A dreamer

Woh andhero mai aata hai,
sapno mai baatein karta hai,
woh rota hai, woh ladta hai,
woh shikayat bhi karta hai,
jab aankh khuli to koi nahi,
bas aankho mai aansoo hota hai,

sapno mai ki hui baatein,
yaad din bhar bhi aati hai,
kaano mai mere, unki aawaaz
har waqt phus phusati hai.
log kehte hai pagal hai,
khud se hi baatein karta hai,
ye sunkar mehboob mera,
mand mand has padta hai,

ya khuda mujhe bas ek neend aisi de,
so jau ab jeevan bhar ke liye,
sapno mai woh milne aayenge,
rahenge sang har dam ke liye,
naa bichhadne ka darr hoga,
na unki rusvaai ka gam,
bas woh honge aur mai hunga,
aur hoga wahi pyar ka mausam

Nahi jaagna mujhe, sapno mai hi rehne do,
hogi koi seher nai, mujhko andhere mai rehne do,
kaho buzdil laakh mujhe, par saath unke hi rehne do,
haqiqat mai to aansoo hai,
dard aur unki judaai hai,
sapno mai meri chhupi hasi,
sapno mai hi woh chhai hai,

Friday, March 13, 2009

This is for my special friend

mera bhi ek dost hota tha,
jab hasta tha mai tab hasta tha,
jab rota to saath mai rota tha,
mai lakh use bhool jau,
woh bina yaad kiye, nahi sota tha,
ek mera bhi aisa dost hota tha,

chupchap meri thi sun leta,
kabhi uff na kiye karta tha,
mujhko naa aaye shikan kabhi,
har roz duwaaye karta tha,
mai samajh na paaya use kabhi,
aur woh har roz misaale bharta tha,
jaisa sabka hota hai,
mera bhi ek dost hota tha,

lab se to kuchh kehta nahi tha,
aankhon se bayaan sab karta tha,
hum nazaro ki bhasha na pad paaye,
woh hamari saans ki aahat padta tha,
jaane ab woh gaya kaha,
mere aas paas hi hota tha,
Mera bhi ek dost hota tha,

Jisko maana maine apna,
usne to tanha chhod dia,
Jis dost ke liye befikra tha,
usne bhi rishta tod lia,
Jinki aankkho mai mai basta tha,
saamne hai bilkul mere par,
aankho se ojhal ho gaya,

kabhi kabhi rishto mai,
aise fande pad jaate hai,
tum lakh karlo koshish magar,
woh sulajh nahi paate hai,
rishto ki is dunia mai,
ek rishta mera kho gaya,
aaj mai hasta hasta tha,
agle pal hi pagal ro gaya,
woh dil mai mere basa tha,
aansoo se aaj bahar aaya tha,
ansoo mai bhari muhabat jaisa,
mera bhi ek dost hota tha,

maaf karna mere dost mujhe,
tujhko na mai samajh paaya,
jab tak mujhe kuchh samajh aaya,
tujhe khud se bahut door paaya,
kuchh aur nahi mai de sakta,
bas duvaaye tujhe mai deta hu,
khushiyo se bhari dunia ho teri,
dukhon ka samandar mai leta hu,

Saturday, February 21, 2009

first creation of JO

bas mere mein kabhi ghamand nahin aaye,
mere andar logo ke liye pyaar kabhina jaaye ,
dusro ki khushi, mujhe bahut hasati hai ,
yeh ehsaas kabhi meri zindagi se na jaaye,
na jaun mein itni pathar dil,
k dusro ke dukho ka ehsaas hi nah ho,
ho nah jaun mein khood mein itni maqbool,
ki dusro ki khushiyon ke parwa hi nah ho,

naraaz khud se ho jau theek hai,
par mujhse koi naraaz na ho jaaye,
lakh ansoo behjaaye mere manzoor hai,
par kisi ke labo ko ek hasi de jaaye,
chhupaya hai khud mai khud hi ko barso se,
k kahi ye mera aks kisi ko ruswa na kar jaaye,
dukh ki kaamna hi nahin karo,
dukh aayenge hi nahin,
khushi ke do pal b jeelo,khushi jayegi hi nahi,
kisiko khud par haavi na honedo,
iss kadar tum apni zindagi ko jeelo,

Saturday, February 14, 2009

still ........

kuchh log bas lamhe ban inn yaadon mai bas jaate hai,
hum laakh bhulaye unko, woh phir bhi yaad aate hai,
aansoo se bhari nazar liye, hum khushi ke diye jalate hai,
Na koi sun le mere siskaari, hum dhol nagara bajaate hai,
bemani khushiya lagti hai, aur hasna dard sa lagta hai,
jab koi bichhda hua, iss dil par dastak karta hai,
phir b hum ankhen band kiye, apna dard nahi dikhate hai,
kuch log jab yaadein ban is saanso mai bas jaate hai.

Parchhayi si banke, unki yaad saath hi chalti hai,
jaha dekha hum has diye, woh ankh mai ansoo bharti hai,
nazre nahi mila sakta mai aaj kisi anjaane se,
har anjaan surat mai, hamein woh hi dikhai padti hai,
yadon ke jungle mai, hum ab kuchh yu phas gaye hai,
bahar nikalte to maut hai, andar gehri khayi hai,
chal padta hu usi raah par,jaha padi teri parchhayi hai,
miloge kabhi to un raaho par, jin raaho par meri tanhai hai.

Saturday, January 31, 2009


Na thhi jab muhabbat tumse,

Tab bhi to muskurate the,
Teri muhabbat mai ye kaisi kashish hai,
Ke hum bin peeye hi jhoome jaate hai,
Nasha itna inn ankho mai hai,
Paimaane toot jaate hai,
Maikhano mai ab virana hai,
Peene wale rooth jaate hai

First Urdu One

Ye dil bhi ro raha hai,
Soze-gam b nikal rahe hai,
Teri yaad mai mere meet,
Hum pal pal hi mar rahe hai,
Bhare ulfat ke jazbaat nikalte hai,
Honto ko seeke rakha hai,
K mai kuchh keh nahi sakta,

Teri yaad mai pahle aab-deedah tha,
Aaj guzre kal ko lekar aab aab hu,
Teri muhabbat ka mai aadee tha,
Aaj mai usi ishq se majruh hu,
Cheekh to nikalti hai mere honto se,
Magar kuchh keh nahi sakta,

Majmaa khada, mere ghar ke bahar,
Sabko lagta hai, mai makhmoor hu,
Til til kar marne ka, manzar sab dekhte hai,
Mai apni hi maut ka maktoob hu,
Ab to maqtal hi mera maqsad hai,
Mai tere ishq ka jo mardood hu,
Chup chap sar kalam karalunga,
Ke mai kuchh keh nahi sakta,

Dil mai tere muhabbat to hogi abhi,
Aanssoo tere bhi chalakte honge kabhi,
Kangan, mere naam se,
Khanakte to honge kabhi,
Tumhi ko raazda samjhaa tha,
Tumhi ko meherbaan samjhaa hai,
Nigaho se bataya hai,
Mujhe jo bhi kehna hai,
Inhi do aansoo se samajh lijiye,
Tum aage sun nahi sakti,
Mai aage keh nahi sakta

Monday, January 26, 2009


Aaj nahi tum paas mere,
par yaad tumhari saath hai,
aaj bhi tumhi se subah hoti hai,
tumhi se hoti raat hai,
naa bhool paaye tumko hum kabhi,
kitne baras purani baat hai,

Woh bhi to din thhe kabhi,
Tumhe palbhar ka bhi nahi sukoon tha,
Hamari muhabbat ka tumpar,
chhaya aisa junoon tha,
Aaj tumko ye kya hua,
Nazre tak nahi milate ho,
Hum aankh tikaye baithe hai,
Tum ankh chura chale jaate ho,

Saat samandar door gaya hu tumse,
Bhool jau tumhe ye aas hai,
Par har cheez mai tera aks dikhe,
Tu rehta kyu itne paas hai,
Na aao tum mere paas kabhi,
Par mera woh hasna lauta do,
Mil jaaaye tumhe koi aur sahi,
Mujhko woh raja lauta do,

Thursday, January 22, 2009

Pal bhar mai toot jaaye, woh sapna hu mai,
Jo tanha chhod jaaye, woh apna hu mai,
Kabhi na bhujne wali pyaas hu mai,
Na poori ho kabhi, woh aas hu mai,
Mehfil se guzar jau, to zikra hu mai,
Mehfil mai saj jau, to fikra hu mai,
Maikhane mai thokar khata khali jaam hu mai,
Na koi jisse pukaare woh naam hu mai,

Jo khatm na ho, woh lambi raat hu,
Shayar ka unkaha jazbaat hu,
Jo chale na saath, woh saath hu,
Kabhi na rukne wali barsaat hu,
Apno ka toota armaan hu,
Shamshan mai chhaya sunsaan hu,
Jo lut gaya woh sammaan hu,
Kabhi mai bhi zinda tha,
Ab to mai zinda chalti lash hu,
Na koi khushi hai na koi gam hai,
Jahaa par koi nahi waha par hum hai,
Woh jo door hue woh habeeb thhe,
Iss patthar ke bahut kareeb thhe,
Aaj bhi takta un raho ko,
Shayad woh samjhe aahon ko,
Na Khatm hone wala intezaar hu,
Mai uska toota aitbaar hu.
Inn Khamosh si raaton mai,
Hum akele hai tanha hai,
Har ek nazar khamosh sawal sa lagti hai,
Na jaane kiss kinaare meri kashti hai,
Khud ko dhoond raha hu khud mai,
Kahi door phasi meri hasti hai,
Ye dunia hai ek daud jeevan ki,
Har koi kisi ko harata hai,
Mai woh hara shakhs hu,
Jo daud se hi hat jaata hai,
Har koi nikal jaata hai aage mujhse
,Aur door khada muskata hai,

Aisa nahi ke hum hamesha tanha thhe,
Humne bhi kabhi dil lagaya tha,
Ek waqt par kisi ko iss dil mai basaya tha,
Par kya pata tha woh bhi daud raha tha,
Kuchh pal mere saath thehra
Agle pal mujhko chhod raha tha,

Iss bhagambhag ki dunia mai,
Har shakhs yaha par bikta hai,
Dil jazbaat kisi ke kuchh nahi,
Har koi ek cheeze sa dikhta hai,
Ae dost tu chalachal zamaane ke chalan mai,
Yahaa pyar bhi khula bikta hai,

Bas aur nahi mai ruk sakta,
Mujhko bhi daud mai jaana hai ,
Kaafi peeche reh gaya hu,
Bas aur nahi sustana hai,
Mai bhi to ek shakhs hu,
Mujhko bhi jeete jaana hai,
Abhi to manzil door hai,
Aur door mera thikana hai,
Kitno ke dil todne baaki hai,
Kitno ko mujhe harana hai,
Hi Friends, I made this blog, to share some of my poetries that I write. I just gone through the bad face in my love life and it has paid me with this asset, that now I have some of poetic thoughts. I apologize because in this blog you may get stuff for broken heart only. Because I am in a similar situation. I want you to give me feedback, I will not mind, if you dont like and start abusing. It would be great honour, and I can look forward to do better..