Saturday, October 22, 2022

Mai kaun

 Woh mujhse pooche kaun hu mai,


Jo poora na ho, woh khwab hu mai,

Raddi mai padi poorani kitaab hu mai,

Kitabo mai bhoola hua gulaab hu mai, 

Naa mile kabhi woh sabaab hu mai,


Mehfil se guzar jau to zikra hu mai, 

Mehfil mai tham jau to fikra hu mai,

Jo mila na kabhi woh kinara hu mai,

 Jo smjh na aaye woh ishara hu mai,


Shayr ka adhoora kalaam u mai,

Salamat na rehne wala salaam hu mai,

Na mile kabhi woh samman hu mai,

Naa zinda hu, naa shamshaan hu mai,


Naa smjhoge mujhko aisa kirdar hu mai,

Naa virodhi hu, na wafadar hu mai,

Maikhane mei thokar khata pyal hu mai,

Naa aaunga kabhi woh khyal hu mai,


Do pal ka vishwas to karlo mujhpar,

Kal ko palat jau woh sailaab hu mai. - Raza Nawab

Thursday, April 26, 2018

kuchh paraya kuchh apna

Aaj khwaabo se koi bahar bhi aaya, 
bhale praya sa, par koi apna sa aaya, 
kab se deedar mai baithe thhe, 
aaj uss khuda par thoda aitbaar to aaya, 

kitni uljhano mai uljhi thhi zindagi, 
unse baat kar thoda karaar to aaya, 
naa kuchh keh k bhi woh bahot kuchh keh gaye, 
unki khaamoshi mai thoda ehtijaaj to aya, 

:)

Thursday, December 1, 2011

sharab aur muhabbat ki muhabbat

woh muhabbat mai zeher kuch iss tarah pila gyi,
jaise maikhane mai saaki sharab pilata hai,
barbaad to hum dono jagah hote hai,
par lutne ka mazaa bas idhr hi aata hai,

sharab aur muhabbat, kuchh iss tarah barbaad karti hai,
ek apne toote hue, pyalo mai nazar aata hai,
dusra apni tooti muhabbat ke, khayalo mai nazar aata hai,
naa maikhana rota hai, na roti muhabbat,
unka to kaarobar hai, ye to bas chamakta hi jaata hai,

roke khud ko yeh, to roke bhi kaise,
ek ko paani mai maikhana, aur
doosre ko har chehra anjaana nazar aata hai,


Sunday, August 21, 2011

tareekh 2

tareekh par tareekh nikal gayi,
salo par saal guzar gaye,
tum kahi aur nikal gye,
hum kahi aur nikal gye,
par mera dil kahi, wahi reh gya,
mere toote khwabo ko jodta reh gya,
tum to hamare rishte ka aina tod nikal gye,
hum rishto ko chhote kanch k tukdo mai,
sanjote chale gye,

mil gya tumhe raah mai rahgeer koi,
hum to usi rah mai tujhe taakte reh gye,
dhumil ho gayi hai yaaden tere saath ki,
par kami mehsoos hoti hai,
mere haatho ko tere haath ki,

tum tareekho ka mol bhool gye,
hum jashn manate rahe akele maikhano mai,
suna hai fir se woh tareekh ayi hai,
yaado mai doobne ki fir se baari aayi hai,
firse jam takdayenge, tum chaho na chaho,
hum tumhe fir bhi yaad ayenge

Sunday, June 5, 2011

simran

koi kenda mai jatt da putar,
koi kenda mai takhaan ha,
koi kahe meri aini maya,
koi kahe mai mahaan ha,
gurunanak sikhya, koi na sikhya,
kende fer vi k aapa kita gur da sammaan ya.
baba nahi mujhda dharm jaat,
na puchhda tera samaan ya,
ohde ghar ta oh hi jaahe,
jeda karma dharma da dhanvan ya

Sunday, May 15, 2011

pending .

meri mausiki hi mujhe dhoka de gayi,
ab to shirkat karte hi ghabrate hai,
kahi mere yeh kadam tumhe fir na rulaade,
kahi hum na ban jaye teri bebasi ka adab,