Saturday, January 23, 2010

ek mulakat khato k saath

Tanhai mai poorane khato se baatein karne lage,
unke saath beetaye palo ko muthhi mai band karne lage,
pahle khat mai chahat ka sabab shamil tha,
unke shabdo mai jaise sukoon shamil tha,
aakhhon mai aansoo the, dil mai khushi ka ehsas tha,
koi tha jo mera itna khaas tha,
har khat ek nayi kahani keh jaata tha,
meri zindagi apni zubaani batata tha,
kahi unka pyar to kahi unki narazgi thi,
kahi mera intzaar to kahi berukhi thi,
unhi lamho ko mai kholta rha,
poorane khato ko sire se jodta rha,
kabhi hasta to kabhi ro deta,
saanso ko saanso se jod deta,
aankh bhar ati unko yaad kar ke,
kaha hai woh jo mere ansooo ponchh deta,
ab yeh khat hi mere apne hai,
hum to tumhare liye paraye hai,
tumhari aankho mai ab koi aur basa hai,
par inme chhupe mere saaye hai,